Us Ko Fursat He Nahi
Us ko fursat he nahi waqt nikaalay Mohsin,
Aisay hotay hein bhala chaahnay waalay Mohsin?
Yaad k dasht mein phirta hoon main nangay paa’on,
Daikh too aa k kabhi paa’on k chhaalay Mohsin,
Kho gai subho ki umeed,or ab lagta hai,
Hum nahi hon gay,k jab hon gay ujaalay Mohsin,
Khaak ko b nahi pohnchay ga koi Karbala ki,
Ab bhalay aik jahaa’n khoo’n mein naha lay Mohsin,
Haakim-e-waqt kahan,mein kahan,adal kahan..,
Kiun na khalqat ki zubaa’n’ par lagay talay Mohsin.
Wo jo ik shakhs mataa’e dil-o-jaan tha, na raha,
Ab bhala kaun meray dard sambhaalay Mohsin
|
|
Tweet | Follow @smstroop |
Posted in Bewafa sms
Here is Some Related SMS Messages
Facebook Comments
Powered by Facebook Comments