Imam Ghazali kehty hain
Jangal mein aik shakhs k peechy sher lag jata hai aur wo jaan bachany k liay 1 kuwain(well) me chalang laga deta hai or rasi se latak jata hai, jab neechy dekhta hai to kuwain ki gehrai me 1 azdaha betha hota hai,itny mein 2 chohy (black and white) kuwain ki rasi ko kutarny lagty hain. Achanak usy kuwain mein shehad ka chhata nazar ata hai or wo shehad ko ungli se zaban per lagata hai. Shehad ki mithas usy uper mandlata sher, neechay betha azdaha or 2 chohy bhula deti hai Wo bhol jata hai k akhir usne neechy hi girna hai. Imam Ghazali kehty hain is me sher “mout” hai jo hr waqt tumhary peechy hai, azdaha “qabr” hai jis me tumhein her haal me jana hai, 2 chohy(white,black) din aur raat hain jo tumhari zindagi(rasi) ko ahista ahista kutr rahy hain. Or wo shehad “Duniya” hai jis ko thora sa chakho to tumhein mout, qabr, waqt aur akhirat bhula deti hai.
|
|
Tweet | Follow @smstroop |