Shayari About Barsaat
Maza barsat ka chaho to in aankhon main aa betho
Wo barson mein kahin barsey, Ye barson se barasti hain!!
Apani Aankho Mein Chhupa Rakkhe Hai Juganu Meine
Apani Palko Pe Saja Rakkhe Hain Aansu Meine
Meri Aankho Ko Bhi Barsaat Ka Mauqa De De
Ik Raat hui Barsaat bohat,
Main roya sari raat bohat,
Her ghum tha zamanay ka lekin,
Main tanha tha us raat bohat,
Phir aankh se ik sawan barsa,
Jab sehar hui to kya dekha,
Woh badal kitna tanha tha,
Jo barsa sari raat bohat